jitne pani mein koi dub ke mar sakta hai utna pani to meri ok mein bhar sakta hai ye to main roz kinare pe khada sochta hun pyas badh sakti hai dariya bhi utar sakta hai ek diya aur to kuchh kar nahin sakta lekin shab ki diwar mein darwaza to kar sakta hai husn-e-tartib se rakkhi hui yaadon ki taraf dekhne wala kisi roz bikhar sakta hai is ka titli sa badan dur se dekha jae wo kisi hath mein aate hue mar sakta hai tum zara soch ke us shakhs pe takiya karna wo farishta nahin wade se makr sakta hai dil ko aankhon se ulajhne nahin deta 'ami' warna dariya se samundar bhi guzar sakta hai