phir zaban-e-ishq chashm-e-KHunfishan hone lagi

phir zaban-e-ishq chashm-e-khunfishan hone lagi
phir hadis-e-dil sar-e-mahfil bayan hone lagi

phir kisi ki shokh nazron ne kiya jhuk kar salam
phir mohabbat saz-e-dil pe naghma-khwan hone lagi

phir kisi ki yaad aai phir hue aansu rawan
phir sitaron ki chamak dil par garan hone lagi

phir tasawwur mein koi aane laga hai bar-bar
phir meri ummid ki duniya jawan hone lagi

phir chaman mein ghuncha-e-nauras ne lin angdaiyan
phir surud-afza bahaar-e-gulistan hone lagi

phir pukara chand-taron ne mujhe sham-e-firaq
phir nigah-e-shauq nazr-e-asman hone lagi

phir kisi ka daman-e-rangin hai mera hath hai
phir dil-e-pur-shauq ki hasrat ayan hone lagi

phir samaya hai meri nazron mein wo mah-e-mubin
phir nigah-e-dil jawab-e-asman hone lagi

phir ghata uthne lagi tauba ke phir lale pade
phir khushamad teri ai pir-e-mughan hone lagi

phir chala diwana 'faizi' ku-e-jaanan ki taraf
phir junun-e-ishq ki haalat ayan hone lagi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close