jitni hum chahte the utni mohabbat nahin di khwab to de diye us ne hamein mohlat nahin di bikta rahta sar-e-bazar kai qiston mein shukr hai mere khuda ne mujhe shohrat nahin di us ki khamoshi meri rah mein aa baithi hai main chala jata magar us ne ijazat nahin di hum tere sath tere jaisa rawayya rakhte dene wale ne magar aisi tabiat nahin di mujh se jo tang hua main ne use chhod diya us ko khud chhod ke jaane ki bhi zahmat nahin di hum the mohtat talluq mein tawazun rakkha pas-e-ulfat raha had-darja aqidat nahin di jis qadar tut ke chaha use hum ne 'ashfaq' us sakhi ne hamein utni bhi to nafrat nahin di