tanhai ka rog na pal ghar se bahar paon nikal jin mein ho zahrila-pan aisi baaten hans kar tal shahr mein wahshi aae hain chal jangal mein dera dal andar se hain bikhre bikhre aur bahar se sab khush-haal aankhen sab ki fikr-zada kaise bitega ye sal 'talib' pyas bujhe kaise ek nadi aur sau ghadiyal