jiwan ke kai raaz batata hai jazira shair ko nai rah sujhata hai jazira kya daur hai khud mauj lagati hai ye tohmat duniya mein bahut shor machata hai jazira allah ki takhliq ka andaz to dekho wo aab ki kheti mein ugata hai jazira jiwan ka safar dukh ke samundar mein hai aksar milon mein kabhi khushiyon ka aata hai jazira ho nargha-e-baatil mein khada jaise mujahid maujon mein yunhi sar ko uthata hai jazira har shab teri yaadon ke samundar mein utar kar ek para-e-dil khud ko banata hai jazira baitha hai hasin koi samundar ke kinare uth uth ke jise dekhta jata hai jazira mahbub se jab puchhta hun ishq ka anjam ungli ke ishaare se dikhata hai jazira ai mere 'nabil' aap ke jaisa hi sada se tanhai ka gham roz uthata hai jazira