sitare raqs karte hain na tare raqs karte hain teri khatir shab-e-furqat ke mare raqs karte hain kabhi aa kar chale jaana kabhi chhupna kabhi milna meri aankhon mein ab tak wo nazare raqs karte hain na jaane mutriba ne saz par dhun kaisi chhedi hai sharik-e-bazm jitne hain wo sare raqs karte hain zara si chhed par ai shams' un ki kaifiyat ye hai ghazab ke mare aankhon mein sharare raqs karte hain