jo achchhe hain un ki kahani bhi achchhi ladakpan bhi achchha jawani bhi achchhi teri mehrbani na achchhi ho kyun kar ki hai teri na-mehrbani bhi achchhi dar-e-yar se hum ko uthna hai mushkil jo aisi ho to na-tawani bhi achchhi tere tir ko apna dil kyun na den hum nishana bhi achchha nishani bhi achchhi jo ho sidq-e-dil se koi sunne wala to wallah jhuti kahani bhi achchhi kahin ishq mein bad-gumani buri hai kahin ishq mein bad-gumani bhi achchhi mai-e-nab ki qadr hum jaante hain nai to nai ye purani bhi achchhi na ho dil mein lekin mere dil ke haq mein tumhaari mohabbat zabani bhi achchhi agar 'nuh' ki sher-goi hai behtar to hai 'nuh' ki sher-khwani bhi achchhi