jo ahraman se pada wasta mafar na hua kisi bhi baat pe raazi wo fitna-gar na hua na socha pahle ye ushshaq kahte phirte hain karenge kya koi wada wafa agar na hua ye beda gharq hua jis ki na-khudai mein wo kah raha hai koi mujh sa dida-war na hua karen jo wada wo ab das hazar sal ka ho hazar sal ka dawa to mo'atabar na hua ye kucha ishq ka hai ishq ka are 'nazmi' idhar na hoga kabhi yas ka guzar na hua