husn ka haal ye ba-dida-e-tar dekha hai dar-ba-dar khak-basar sham-o-sahar dekha hai in gunahgar nigahon ne jidhar dekha hai ek ujda hua sapnon ka nagar dekha hai dil-e-khush-fahm ne ek khwab-e-shajar dekha hai shomi-e-bakht ki be-barg-o-samar dekha hai dad-khwahi ki nahin ahl-e-chaman ko taufiq jaan dene mein asiron ne mafar dekha hai aakhir-e-kar hua qaid-e-zamin se aazad mah-o-anjum ne ye iqdam-e-bashar dekha hai maslahat-kosh rafiqon se hai duri lazim na hue waqt pe wo sina-sipar dekha hai jaise ho ghaib se muzhda koi aane wala main ne paiham kabhi yun jaanib-e-dar dekha hai