jo ashk barsa rahe hain sahib ye raegan ja rahe hain sahib yahi taghayyur to zindagi hai abas ghule ja rahe hain sahib jo ho gaya hai so ho gaya hai fuzul pachhta rahe hain sahib ye sirf ginti ke chaar din hain bade maze aa rahe hain sahib abhi to ye khak ho rahega jo jism chamka rahe hain sahib koi irada na koi jada kahan kidhar ja rahe hain sahib idhar zara ghaur se to dekhen ye phul murjha rahe hain sahib jahan ki nayaft ke sabab mein jahan ka gham kha rahe hain sahib ye main nahin hun ye mera dil hai ye kis ko samjha rahe hain sahib sukun ki nind soiyega wo din bhi bas aa rahe hain sahib jo aap ke hijr mein mile hain ye din gine ja rahe hain sahib bas ab nahin kuchh bhi yaad mujh ko bas aap yaad aa rahe hain sahib