har gham ko yun to zabt kiye ja raha hun main is gham ko kya karun ki jiye ja raha hun main lo sath de chuki shab-e-hijran ka zindagi ab sham-e-gham ko sath liye ja raha hun main han aankh tar nahin magar aansu kahan se aaen hamraaz khun-e-dil to piye ja raha hun main kaisa sukun ki dil bhi to hai dafn mere sath ye saz-e-iztirab liye ja raha hun main bhar bhar ke de raha hai falak talkh jam-e-gham kya zauq hai bala ka piye ja raha hun main han pa-e-sabr thak gae lekin idhar to dekh ab sajda-e-ha-e-shukr kiye ja raha hun main 'mani' ye sozan-e-nafas-o-rishta-e-wafa lab-ha-e-shikwa-sang siye ja raha hun main