jo baat achchhi nahin lagti usulan use hum chhod dete hain yaqinan nikalo dudh ki nahren yaqinan magar milti hai shirin ittifaqan zaban luknat-zada bad-niyyaton ki hum apni baat kah dete hain fauran dilon ke beach ek diwar si hai milen bhi hum to ab milte hain rasman badan us ka hai khushbu chand naghma tabhi to hum jhuke hain ehtiraman ye mat samjho hai rassi dur mujh se kabhi hum dhil de dete hain qasdan yahi ab sher ka mear thahra rawayya khurdura tha ehtijajan raqibon se tumhein milna hai 'asim' niyam-o-tegh rakh lo ehtiyatan