tamanna hai ye aankhon ki tera didar aa dekhen kabhi rauza tera ya-ahmad-e-mukhtar aa dekhen shifa ho jae dam mein kushta-e-hijr-e-mohammad ko agar wo khwab mein bhi haalat-e-bimar aa dekhen ye dil tha un ka maskan mat ujad us ko gham-e-hijran ghazab aa jaega gar shah-e-din mismar aa dekhen na kuchh marne ka gham ho aur na kuchh shikwa ho furqat ka agar haalat meri wo sayyad-e-abrar aa dekhen jo maddah-e-nabi par tana-zan mumtaz hote hain dikhaen sher apne aur mere ashaar aa dekhen