jo baat hai teri so nirali ushshaq-kushi nai nikali tir-e-mizhgan bhi hai us par abru ki tegh bhi sambhaali samjhe hai zahiran wo dil ki deta hai jo dar-jawab gali nakhun-zan hain badal ye angusht ye sirf nahin hina ki lali hain roz-e-azal se hum giraftar dekhi na kabhu faragh-baali tu to hai hi pa main bhi pyare hun be-parwai la-ubaali kis tarah dikhaun aah tujh ko main apni ye kharab-haali hum hain bande dani o asfal aur aap ka hai mizaj aali aaina-e-dil mein mahw ho kar surat hi kuchh aur ab nikali hai tujh se hi aashiqon ki khubi ya hazrat-e-'dard' mere wali diwan-e-'asar' tamam dekha hai us mein har ek sher aali