kali ghata kab aaegi fasl-e-bahaar mein aankhen safed ho gain is intizar mein kyun kar qarar aae dil-e-be-qarar mein tum pure kab utarte ho qaul-o-qarar mein tarik dasht ho gaya aankhon mein qais ki pinhan hua jo naqa-e-laila ghubar mein aae kabhi na phir tujhe sair-e-chaman mein lutf baithe agar tu aa ke dil-e-dagh-dar mein lazim nahin ki mard musibat mein ho malul khandan hamesha rahta hai gul kharzar mein hai ye kisi ki chashm-e-siyah-mast ka asar tauba bhi ladkhadane lagi hai bahaar mein hote wahan jo 'dagh' to dilli bhi dekhte ab kya karenge ja ke us ujde dayar mein kya khak apne dil ko tamanna-e-sher ho juz khar kuchh nahin chaman-e-rozgar mein juz 'dagh' aaj bulbul-e-hindustan hai kaun kahte hain hum pukar ke ye sau hazar mein ai 'mashriqi' nasib na su-e-dua hai ye kya gham jo jagta hun shab-e-intizar mein