jo baat kaam ki hai hans ke Tal deta hai

jo baat kaam ki hai hans ke tal deta hai
fuzul baat ko aksar uchhaal deta hai

tulua ghurub uruj-o-zawal deta hai
kisi ko tamgha kisi ko wo shawl deta hai

taghayyuraat ke sanchon mein dhaal deta hai
khushi kali ko to gul ko malal deta hai

wo chaar samt ka dariya baha ke aalam mein
kisi ko gharb kisi ko shumal deta hai

machhera kitni firasat se jal ko apni
utha ke gahre samundar mein dal deta hai

har ek kaam ko wo mere raegan likh kar
pahad khod ke chuha nikal deta hai

kabhi kabhi mujhe lams-e-visal de ke 'zarar'
mere wajud ko barson ujal deta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close