marmarin paikar damakta mahtabi raat mein

marmarin paikar damakta mahtabi raat mein
barq pare gholta hai mere ehsasat mein

raqs karti ek hasina le ke khanjar hath mein
dafatan bijli chamak jati ho jaise raat mein

thap table ki chhanak pael ki ye barsat mein
mahi-e-be-ab hun bistar pe tanha raat mein

sab meri diwangi se tang aa kar ja chuke
ab koi aaseb bhi baqi nahin khandaraat mein

qurbaton ke lams ki sarshaariyon ka hai nasha
shama ki lau par patange jal rahe hain raat mein

hur-o-ghilman kausar-o-tasnim ke wade ke sath
tazkira hai jannat-ul-firdaus ka aayat mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close