jo baat shart-e-visal thahri wahi hai ab wajh-e-bad-gumani idhar hai is baat par khamoshi udhar hai pahli se be-zabani kisi sitare se kya shikayat ki raat sab kuchh bujha hua tha fasurdagi likh rahi thi dil par shikastagi ki nai kahani ajib aashob-e-waza-dari hamare aasab par hai tari labon pe tartib-e-khush-kalami dilon mein tanzim-e-nauha-khwani hamare lahje mein ye tawazun badi saubat ke baad aaya kai mizajon ke dasht dekhe kai rawayyon ki khak chhani