koi fihrist lafzon ki ya google ko khangalega wo meri chup se ab koi naya matlab nikalega muqabil kar diya us ke agar aaina main ne to zaban se zahr uglega koi patthar utha lega mujhe malum hai us tak to khali khat hi jaega mera qasid hi dimak ban ke lafzon ko uda lega zara daman ko phailaya kai logon ne dukh dale main samjhi thi koi hamdard mere gham utha lega khade the log sahil par tamasha dekhne wale main khush-fahmi mein dubi thi koi aa kar bacha lega apahij sari duniya hai koi andha koi bahra koi mange mere sapne koi aankhen chura lega mujhe is dil ke zindan se hai behtar aankh ka dariya duboega ye pani gar to lashen bhi uchhaalega lab-e-sahil to aate hain faqat kuchh khol sipon ke jo gahrai mein jaega wahi gauhar nikalega kisi mitti ko gundhega kahin patthar tarashega hunar hai us ke hathon mein nai 'fauzi' bana lega