jo bad-aqida ho us ko khuda nahin milta lagan ho dil mein to bande ko kya nahin milta bade khulus se sab ki nazar ko takta hun wafa-shanas koi aashna nahin milta jise bhi dekhiye wo rahzani mein yakta hai hazar dhundo magar rahnuma nahin milta dayar-e-ghair mein sab hi aziz hain lekin jo de khulus to wo ba-wafa nahin milta tumhaare shahr mein ikhlas ki kami lekin sitam hai koi bhi gham-ashna nahin milta sukun-e-qalb ki daulat mili to hai 'zahid' koi batae ki us dar se kya nahin milta