kisi ko pyar kisi ko jalal deta hai

kisi ko pyar kisi ko jalal deta hai
khushi kisi ko kisi ko malal deta hai

har ek ashk masarrat mein dhaal deta hai
wo gham bhi de to mujhe be-misal deta hai

kahan kahan nahin pahuncha tera payam-e-latif
azan jagah jagah ab bhi bilal deta hai

hujum-e-gham se na ghabra khuda muhafiz hai
bala bhi sar pe jo aae to tal deta hai

be-e'tinai ka ab us ki kya gila 'zahid'
sawal-e-wasl pe hans hans ke tal deta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close