jo bahr-e-ehtiyat mein pali nahin gai

jo bahr-e-ehtiyat mein pali nahin gai
us zindagi ki naw sambhaali nahin gai

sahil se dekhte rahe sab dubte hue
lekin bhanwar se naw nikali nahin gai

un ke har ek ishaare pe sar ko jhuka diya
mujh se badon ki baat bhi tali nahin gai

purkhon se apna taur hai dastar bandhna
pagdi kisi ki hum se uchhaali nahin gai

ghunghat shab-e-urus uthane ki der thi
phir chadar-e-hijab sambhaali nahin gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close