mila qatra to karte kyon shikayat tum muqaddar ki gila qismat ka hai phir kyon na koshish ki samundar ki bade akhlaq wali un ki aulad-e-narina hai shariat ke tamaskhur mein zaban chalti hai dukhtar ki agar hai khaksari to bulandi par qadam honge jagah firaun hasil kar nahin sakta sikandar ki khuda par ho yaqin kaamil agar insan na ho kahil talatum-khez maujen bhi madad kartin samundar ki qanaat sabr 'parwana' ye hain alfaz achchhe par nasihat par amal khud kar na kha thokar tu dar dar ki