jo barishon mein jale tund aandhiyon mein jale charagh wo jo bagulon ki chimniyon mein jale wo log the jo fareb-e-nazar ke matwale tamam umr sarabon ke paniyon mein jale kuchh is tarah se lagi aag baadbanon ko ki dubne ko bhi tarse jo kashtiyon mein jale yahi hai faisla tera ki jo tujhe chahe wo dard-o-karb-o-alam ki kathaaliyon mein jale dam-e-firaq ye mana wo muskuraya tha magar wo dip ki chupke se ankhdiyon mein jale wo jhil jhil mein jhurmut na the sitaron ke charagh the ki jo chandi ki thaaliyon mein jale dhuan dhuan hai darakhton ki dastan 'anwar' ki jangalon mein pale aur bastiyon mein jale