jo bhi anjam ho aaghaz kiye dete hain

jo bhi anjam ho aaghaz kiye dete hain
mausamon ko nazar-andaz kiye dete hain

kuchh to pahle se tha rag rag mein shujaat ka surur
kuchh hamein aap bhi jaan-baz kiye dete hain

had se aage jo parinde nahin udne wale
hadse un ko bhi shahbaz kiye dete hain

dasht o sahra ye samundar ye jazire ye pahad
munkashif hum pe kai raaz kiye dete hain

shab-e-zulmat na ho ghamgin ki jala kar khud ko
nur se tujh ko sar-afraaz kiye dete hain

shahr-e-jaan par kai barson se musallat hai jumud
chhed kar dil ko chalo saz kiye dete hain

hum ki zinda hain abhi zulf-e-ghazal aa tujh ko
phir ata nikhat-e-shiraaz kiye dete hain

kaun aata hai ayaadat ke liye dekhen 'faragh'
apne ji ko zara na-saz kiye dete hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close