jo bhi apnon se ulajhta hai wo kar kya lega waqt bikhri hui taqat ka asar kya lega khar hi khar hain ta-hadd-e-nazar diwane hai ye diwana-e-insaf udhar kya lega jaan par khel bhi jata hai sazawar-e-qafas is bharose mein na rahiyega ye kar kya lega pasti-e-zauq bulandi-e-nazar dar-o-rasan un se tu mangne jata hai magar kya lega rahbar-e-qaum-o-watan us ko khuda sharmae khud jo bhatka ho wo auron ki khabar kya lega sham-e-mahfil ka baqiyya hai farogh-e-ummid sham se jis ka ye aalam ho sahar kya lega baghban koshish-e-beja pe magan hai lekin bhang bota hai jo gulshan mein samar kya lega shaer-e-gauhar-e-be-ab-e-zamana ai 'shad' sher-fahmon se kabhi dad-e-hunar kya lega