jazba-e-mohabbat ko tir-e-be-KHata paya

jazba-e-mohabbat ko tir-e-be-khata paya
main ne jab use dekha dekhta hua paya

jaante ho kya paya puchhte ho kya paya
subh-dam dariche mein ek khat pada paya

der mein pahunchne par bahs to hui lekin
us ki be-qarari ko hasb-e-muddaa paya

subh tak mere ham-rah aankh bhi na jhapkai
main ne har sitare ko dard-ashna paya

girya-e-judai ko sahl jaanne walo
dil se aankh ki jaanib khun daudta paya

ehtimam-e-parda ne khol din nai rahen
wo jahan chhupa ja kar mera samna paya

dil ko moh leti hai dil-kashi-e-nazzara
aankh ki khataon mein dil ko mubtala paya

rang lai na aakhir tark-e-naz-bardari
hath jod kar us ko mahw-e-iltija paya

'shad' ghair-mumkin hai shikwa-e-butan mujh se
main ne jis se ulfat ki us ko ba-wafa paya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close