jo bhi milta hai usi ko pujne lagta hun main kya karun majburiyon hain ganw se aaya hun main kal bhi ehsasat ke shoalon pe tha mera wajud aaj bhi har lamha sone ki tarah lagta hun main mujh se hi qaem hai ab tak tera tahzibi waqar tod mat mujh ko ki ghar ka sadr darwaza hun main main tere sahil pe aaya hun ki dekhun tera zarf ai samundar tujh se kis ne kah diya pyasa hun main sans tak lena bhi hai dushwar jab is shahr mein zindagi tujh par mera ehsan hai zinda hun main lakh buniyaadon mein tu ne dhak ke rakkha hai mujhe ai haweli ke khandar ab bhi tarah hissa hun main main ba-zid hun us pe ki sab mujh ko samjhen aaina jabki aaina ba-khubi jaanta hai kya hun main