nahin ye zid ki har ek dard tu mera le ja jo ho sake to ye barson ka rat-jaga le ja tera to kya ki khud apna bhi main kabhi na raha mere khayal se khwabon ka silsila le ja kisi ne dur bahut dur se pukara phir dilon ki qurbaten aankhon ka fasla le ja nikal gaya hun bahut apni zat se aage tu mujh se mere bichhadne ka saneha le ja main khud hi apne taaqub mein phir raha hun abhi utha ke tu meri rahon se rasta le ja ajib zahr rawan hai lahu ki gardish mein kabhi to sholagi-e-jaan ka zaiqa le ja amir-e-shahr mujhe hurmat-e-hunar hai bahut ye apna turra-e-dastar ye qaba le ja