jo bhi shai mange hai wo hosh-ruba mange hai

jo bhi shai mange hai wo hosh-ruba mange hai
intiha ye hai ki bande se khuda mange hai

ek hi saf mein nazar aate hain qatil maqtul
kaun hai apne kiye ki jo saza mange hai

kal jo khud nur tha wo dil bhi ujale ke liye
aaj chadhte hue suraj se ziya mange hai

dekhiye ab to khizan sukhe hue aaza ko
dhankne ke liye phulon ki rida mange hai

ek hi mashghala rahta hai shab-o-roz use
mere mar jaane ki kambakht dua mange hai

aansuon ka jo khazana hai in aankhon mein 'rais'
apne daman mein wahi baad-e-saba mange hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close