jo bhi yahan hua wo bahut hi bura hua har aadmi ka zehn hai ab tak jala hua mitti ko sunghne se koi faeda nahin main ja raha hun naqsh-e-wafa chhodta hua rauzan bana rahe hain khala mein kiran ke tir suraj isi liye hai zamin par jhuka hua hum sah rahe hain apne azizon ke dard-o-gham aaya jo dast-o-pa liye be-dast-o-pa hua ek shakhs mere sath safar mein raha magar manzil qarib aai to mujh se juda hua mujh ko kisi ki baat ki parwa nahin abhi main ji raha hun shahr mein tanha to kya hua afsos ki nahin ye tajjub ki baat hai kaise guzar gaya wo mujhe dekhta hua tum ne mere liye to bahut kuchh kiya magar kya tum ko ai 'hasir' koi faeda hua