log kahte hain ki suraj mein andhera kyun hai dhup nikli hai ghalat baat ka charcha kyun hai zindagi se nahin jab tum ko koi dilchaspi chand lamhon ki masarrat ka taqaza kyun hai padhne walon ke dilon par ho sadaqat ka asar aisi tahrir wo likhta hai to likhta kyun hai apne markaz pe jise laut kar aana hi pada dekh kar aaina ab chehra chhupta kyun hai dar raha hun ki musibat na kahin aa jae zehn mein tezi se ehsas ye ubhra kyun hai mujh se nafrat hai to izhaar kabhi bhi na kiya wo farishta hai to kuchh kahne se darta kyun hai yaad hogi tumhein pahle ki har ek baat 'hasir' phir mohabbat se use tum ne nawaza kyun hai