jo bujh sake na kabhi dil mein hai wo aag bhari bala-e-jaan hai mohabbat mein fitrat-e-bashari qafas mein hum ne hazaron asir dekhe hain raha hai kis ka salamat ghurur-e-baal-o-pari tere jamal ke asrar kaun samjhega panah mang raha hai shuur-e-dida-dari safar adam ka hai dushwar tu akela hai mujhe bhi sath liye chal sitara-e-sahari bana bana ke har ek shisha tod deta hai ajib shai hai mere shishagar ki shishagari tabahiyon ka zamana hai hoshiyar raho khabar ke rang mein zahir hui hai be-khabari junun ka muzhda-e-fursat ki in dinon 'shaariq' khirad ka dast-e-mubarak hai waqf-e-jama-dari