jo chahun bhi to ab khud ko badal sakta nahin hun samundar hun kinaron se nikal sakta nahin hun main yakh-basta fazaon mein asir-e-zindagi hun teri sanson ki garmi se pighal sakta nahin hun mere panw ke niche jo zamin hai ghumti hai to yun ai aasman main bhi sambhal sakta nahin hun khud apne dushmanon ke sath samjhauta hai mumkin main tere dushmanon ke sath chal sakta nahin hun wo pauda nafraton ka hai jahan chahe uga lo mohabbat hun main har mitti mein phal sakta nahin hun unhen ladna padega mujh se jab tak hun main zinda hisar-e-dushmanan se go nikal sakta nahin hun khule hain raste kitne mere raste mein 'azmi' magar main hun ki har sanche mein dhal sakta nahin hun