jo chand sansen sukun ki yahan kamaya hun

jo chand sansen sukun ki yahan kamaya hun
ye khwahishat ki kashti jala ke paya hun

ki jis ke pair se kante nikale the main ne
usi ke tiron se chhalni main ho ke aaya hun

teri hadon ki mujhe fikr to kabhi na thi
main apni had mein har ek had talak samaya hun

fareb-e-sud-o-ziyan mein kabhi na aane ka
bhula ke khud ko khudi se aji milaya hun

main tujh ko kuchh bhi nahin de sakunga ai 'zakir'
main apne aap mein apna hi to baqaya hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close