nibhana gar hua mushkil marasim toDna achchha

nibhana gar hua mushkil marasim todna achchha
bahane chal nahin sakte wahan sach bolna achchha

umid-e-qatl kar ke yun tumhein kya mil gaya aakhir
kabhi ehsas ko thoda jaga kar sochna achchha

shikayat kuchh nahin mujh ko sabhi khushiyan tumhaari hain
mere hisse ke sare dard mujh ko saunpna achchha

pahunch kar manzilon par bhi agar hasil nahin kuchh bhi
samajh mein ye jo aa jae safar ko rokna achchha

udanon ki mashaqqat se zara pahle suno 'zakir'
bulandi nap kar hi to paron ko kholna achchha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close