jo charagh sare bujha chuke unhen intizar kahan raha ye sukun ka daur-e-shadid hai koi be-qarar kahan raha jo dua ko hath uthae bhi to murad yaad na aa saki kisi karwan ka jo zikr tha wo pas-e-ghubar kahan raha ye tulu-e-roz-e-malal hai so gila bhi kis se karenge hum koi dilruba koi dil-shikan koi dil-figar kahan raha koi baat khwab-o-khayal ki jo karo to waqt katega ab hamein mausamon ke mizaj par koi e'tibar kahan raha hamein ku-ba-ku jo liye phiri kisi naqsh-e-pa ki talash thi koi aaftab tha zau-fagan sar-e-rahguzar kahan raha magar ek dhun to lagi rahi na ye dil dukha na gila hua ki nigah ko rang-e-bahaar par koi ikhtiyar kahan raha sar-e-dasht hi raha tishna-lab jise zindagi ki talash thi jise zindagi ki talash thi lab-e-juebar kahan raha