kahte hain ki ab humse KHata-kar bahut hain

kahte hain ki ab hum se khata-kar bahut hain
ek rasm-e-wafa thi so wafadar bahut hain

lahje ki khanak ho ki nigahon ki sadaqat
yusuf ke liye misr ke bazar bahut hain

kuchh zakhm ki rangat mein gul-e-tar ke qarin the
kuchh naqsh ki hain naqsh-ba-diwar bahut hain

rahon mein koi aabla-pa ab nahin milta
raste mein magar qafila-salar bahut hain

ek khwab ka ehsan bhi uthae nahin uthta
kya kahiye ki aasuda-e-azar bahut hain

kyun ahl-e-wafa zahmat-e-bedad-nigahi
jine ke liye aur bhi aazar bahut hain

har jazb-e-betab ke ahkaam hazaron
har lamha-e-be-khwab ke israr bahut hain

palkon talak aa pahunche na kirnon ki tamazat
ab tak to 'ada' aaina-bardar bahut hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close