jo chhanw deta hai mujh ko ghana shajar ban kar main us ka sath nibhati hun us ka ghar ban kar faza-e-ilm-o-hunar ras aa gai hai mujhe khuda kare ki rahun harf-e-mo'tabar ban kar tu chand hai to dua hai kabhi ghurub na ho ufuq mein main bhi rahun matla-e-sahar ban kar ghalat samajhti thi main us ko raazdan apna jo ek saya sa ubhra tha ham-safar ban kar ummid-o-bim se jab aazad ho gai 'amabar' to kaamyab hui sahib-e-nazar ban kar