jo chiz muqaddar mein nahin hai wo nahin hai ummid phir us chiz ki kyon zehn-nashin hai tujh ko na yaqin ho to nigahon se meri dekh koi bhi hai duniya mein to ek tu hi hasin hai ab koi ise kufr samajhta ho to samjhe tu panw jahan rakh de wahin arsh-e-barin hai kuchh roz se aalam hai ye diwane ka tere dil aur kahin hai to nazar aur kahin hai tu chand pe ja chahe sitaron pe chala ja ai khak ke putle tere rahne ko zamin hai sirf is ke liye dahr ke gham mol liye hain jo dil mein makin hai meri aankhon mein makin hai jis shakh pe jalta hua chhoda tha nasheman main kunj-e-qafas mein hun meri ruh wahin hai ahbab mere mujh se ye kyon puchh rahe hain ab rasm-e-wafa sare zamane mein kahin hai shikwa na shikayat hai koi ahl-e-sitam se 'manzil' mein nahin hai to yahi chiz nahin hai