jo choT khane se Dar rahe hain

jo chot khane se dar rahe hain
wahi shajar be-samar rahe hain

wo chahte hain mujhe darana
jo mere zer-e-asar rahe hain

jinhen sikhaya tha hum ne udna
wo par hamare katar rahe hain

suna hai wo ab to guftugu bhi
hamare lahje mein kar rahe hain

parinde shohrat ke rafta rafta
bulandiyon se utar rahe hain

wo aa rahe hain khabar chali hai
sabhi ke chehre sanwar rahe hain

wo tak rahe hain mujhe musalsal
bahut se chehre utar rahe hain

waqia kitne ye qaid-khane
yahan pe ahl-e-nazar rahe hain

ye maut hairat-zada hai 'anjum'
ki log jine pe mar rahe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close