jo dam huqqe ka dun bole ki main huqqa nahin pita bharun jaldi se gar sulfa, kahe sulfa nahin pita khuda ke waste kar tu hi saqi us ki dildari ki mere hath se mai, yar-e-be-parwa nahin pita agarche mai-kada mamur hai lekin tera kaifi ba-rang-e-gul ba-juz yak-saghar-e-sahba nahin pita main aali-himmati ka us ki banda hun ki jo mai-kash nahin malti jo mai, to bhang aur buza nahin pita wazir-ul-mulk ka az-bas-ki mai-e-naushan pe qadghan hai bajae mai, hai wo yan kaun jo kattha nahin pita lab-e-sofar mein surkhi kahan se us ke aai hai? jo tera tir piyare khun-e-dil mera nahin pita kasi ne ye fusun kuchh padh ke us kafir pe mara hai ki in rozon wo pani bhi mere ghar ka nahin pita piye hai is tarah diwana, mal mal tak ke patte ki tiryaki bhi yun afyun ka ghola nahin pita kahe hai mujh se yun hamdam ki rut lahan ki aai hai wale kya faeda tujh ko, tu dar tharra nahin pita chale hai roz ghairon ke gale par tegh-e-tez us ki lahu ke ghont kis din aashiq-e-shaida nahin pita sharab-e-dostgani ka qadah rakh hath par apne kaha main ne jo pi us ko, wo yun bola nahin pita nahin milta wo jo shirin-dahan ai 'mushafi' tujh ko tu us ke hijr mein kyun zahr ka pyala nahin pita