tujh par fida hain sare husn-o-jamal wale kya saf gal wale kya khatt-o-khal wale mujh rang-zard upar ghusse sen lal mat ho ai sabz shaal wale ude rumal wale tahqiq ki nazar sen aakhir kun hum ne dekha aksar hain mal wale kam hain kamal wale saya kun sarw-qad ke dhunde pa kahin na pae aalam ke fal wale aur kya nihaal wale gar harf mere gham ka laun zaban ke upar ho jaen qal wale yak-dam mein haal wale mauzun nahin kiye hain tujh qad sa ek misra jal gae khayal wale mar gae misal wale gar shab kun sair karne nikle 'siraj' mah-ru jah-o-jalal wale hoen misal wale