jo dard mein rahat pa na sake ulfat ki haqiqat kya jaane

jo dard mein rahat pa na sake ulfat ki haqiqat kya jaane
parwana-sifat jo jal na sake sarshaari-e-ulfat kya jaane

har-waqt hai koi pesh-e-nazar yaksan hai kisi ki sham-o-sahar
mahrumi-e-qurbat ke sadme nakaam-e-mohabbat kya jaane

shikwa bhi karen to kis se karen masum-nazar masum-ada
jaise wo mohabbat kya samjhe jaise wo adawat kya jaane

sar-chashma-e-ulfat ho kar bhi begana-e-rah-e-ulfat hai
kyon tab-o-tawan hum kho baithe wo chashm-e-inayat kya jaane

ummid ki paiham gham-khwari betabi mein bhi sarshaari
kya hijr mein lazzat milti hai aasuda-e-ulfat kya jaane

jab dil mein hujum-e-yas hua do aansu aankh se bah nikle
jaan-dada-e-rah-o-rasm-e-wafa dar-parda shikayat kya jaane

ai naseh-e-mushfiq is ke siwa kya tujh ko bataen kya hai maza
dekhi hi nahin jab us ki nazar to nashsha-e-ulfat kya jaane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close