jo dast-e-ahl-e-mohabbat ko iKHtiyar mile

jo dast-e-ahl-e-mohabbat ko ikhtiyar mile
gada ko phul milen baadshah ko khar mile

ye shahr-e-shishagaran hai yahan yahi hoga
ki sang ek mila aaine hazar mile

hamesha honton pe us ke hansi nazar aai
hamari aankhon mein aansu bhi be-shumar mile

gae the shahr se bahar udasiyan dhone
aur us safar mein sab aaine par ghubar mile

mila na dost bhi koi purani galiyon mein
sab apne shahr mein masruf-e-karobar mile

kabhi to jhank zara manzar-e-nigah se udhar
kabhi to aaqa koi mahw-e-intizar mile

batana us ko ki sab dhundte rahe hain use
jo raste mein kabhi tum ko ‘tajdar’ mile


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close