main us ke wasl se jaga to silsila tha wahi ki hijr us ka tha waisa hi marhala tha wahi dukan-e-shisha-garan bhi sajai thi us ne tamam shahr mein patthar bhi bantta tha wahi mujhe guman ke sab raste usi ne diye mere yaqin ke diye bhi jala raha tha wahi visal us ka baratna tha hijr likhna bhi ki tez dhup mein barish ka rasta tha wahi parinde dhup ki shiddat se ghar ke aangan mein palat ke aae to dekha ki masala tha wahi wo ek yaqin se jata tha chhod kar mujh ko nibahne ka magar dil mein hausla tha wahi nae visal ke mausam mein jo badan bhiga hujum-e-hijr mein dekha to jal raha tha wahi main jis ki rahon se wapas palatne wala tha nazar uthai to ek roz aa raha tha wahi main apne khwabon ki dastak se jag utha 'adil' bahut si raaten thin aur sab mein rat-jaga tha wahi