jo dhup ki tapti hui sanson se bachi soch phir chandni-raaton mein badi der jali soch aaram se ek lamha bhi jina nahin mumkin har waqt mere zehn mein rahti hai nai soch is shahr mein aata hai nazar har koi apna aawaz kise dun mujhe rahti hai yahi soch dukh-dard ka mara hi koi samjhega hum ko hum tak na pahunch paegi nazon ki pali soch