jal kar jis ne jal ko dekha tum ne us pagal ko dekha khwab diye aur aaine mein aane wale kal ko dekha waqt ke sab se unche pul se aate jate pal ko dekha khwahish ke changul se aage hairat ke jangal ko dekha sahra mein ek kursi dekhi kursi par sachchal ko dekha dekhin tishna-lab ki aankhen aankhon ke jal-thal ko dekha baadal jab dariya par barsa dariya ne baadal ko dekha mausam ne jab karwat badli chadar ne kambal ko dekha aankhon ki gahrai jaani peshani ke bal ko dekha daldal ke sabze se guzre sabze ke daldal ko dekha mazi ke har ped pe hum ne mustaqbil ke phal ko dekha likhne walo hath utha lo kis kis ne maqtal ko dekha tum ne ziddi dekhe honge dil jaise adiyal ko dekha mushkil kitni mushkil mein thi mushkil ne jab hal ko dekha khurach khurach kar shak ne khaddar mal mal kar malmal ko dekha dariya pir-abaad mein kis ne shaalu aur shal shal ko dekha qainchi jab dam dam par jhapti kikar ne pipal ko dekha baalti gailan tasle dekhe aur phir main ne nal ko dekha dariya ki lahren gin gin ke pani ki botal ko dekha hairam dew ne sona kha kar chandi aur pital ko dekha dekha kya kya dekh raha hai ghaur se jab goggle ko dekha channel par khabren to dekhin khabron ke channel ko dekha