jo dil ka raaz be-ah-o-fughan kahna hi padta hai to phir apne qafas ko aashiyan kahna hi padta hai tujhe ai tair-e-shakh-e-nasheman kya khabar is ki kabhi sayyaad ko bhi baghban kahna hi padta hai ye duniya hai yahan har kaam chalta hai saliqe se yahan patthar ko bhi lal-e-giran kahna hi padta hai ba-faiz-e-maslahat aisa bhi hota hai zamane mein ki rahzan ko amir-e-karwan kahna hi padta hai murawwat ki qasam teri khushi ke waste akasr sarab-e-dasht ko aab-e-rawan kahna hi padta hai zabanon par dilon ki baat jab hum la nahin sakte jafa ko phir wafa ki dastan kahna hi padta hai na puchho kya guzarti hai dil-e-khuddar par akasr kisi be-mehr ko jab mehrban kahna hi padta hai