jo dil mein us ko basae wo aur kuchh na kare wo rup hai ki use dekhiye to ji na kare jo dard dil mein uthe aah khinchne se dare wo aaina hai ki mauj-e-hawa shikast kare khilengi rah mein is raat barf ki kaliyan gharon mein ghumte phirte hain baadalon ke pare hawa udhar ki chali bhi to dard mar na gaya yahi hua hai ki kuchh zakhm ho chale hain mere ye jangali ye katili ye bawari aanhken ki jin se aankh milate hue hiran bhi dare khamosh ho bhi to kaise wo bolta hua jism jo hont hont se chupke to aankh baat kare wafa bane na agar 'ashk' rah ka patthar hazar jism bhare shahr mein bane sanwre